nikli jo ruh jism se phir hai badan mein kya jab shama bujh gai to raha anjuman mein kya wo sher kya ki dil mein jo nashtar chubha na de ho jis mein bu na dard ki hai us sukhan mein kya tedha jawab dete ho tum sidhi baat ka yaad ek ada yahi hai tumhein bankpan mein kya hal kar diya tabassum-e-lab ne ye masala ab uzr aap ko hai subut-e-dahan mein kya aa hum dikhaen dagh-e-jigar ki tujhe bahaar ai andalib sair hai tere chaman mein kya kyon chumte hain is ko nakirain bar bar nam us ka hai likha hua mere kafan mein kya sau ahd us ne tode magar phir yaqin hai hai moajiza yahi lab-e-paiman-shikan mein kya ai ahl-e-aql is ka maza yun na aaega diwana ban ke dekho hai diwana-pan mein kya jo nafa hai wo kakul-e-mushkin ki hai girah sad-rang kya hai aur hai rang-e-saman mein kya tum mal-dar ho na hunar-war na ba-kamal 'akbar' tumhaari qadr ho mulk-e-dakan mein kya