nahif tinka bhala tez dhaar kya jaane na kar sakega wo dariya ko par kya jaane hayat ki ye nihayat tawil rahguzar musafiron ki thakan ka shumar kya jaane masarraton mein chhupa husn-e-dil ko kya malum ye regzar jamal-e-bahaar kya jaane wo hum se umr bitane ki baat karta hai hamein to sans bhi lena hai bar kya jaane nashe mein hai jo masarrat ka jam pi ke 'obaid' wo hadsat ki mai ka khumar kya jaane