tasalli de ke bahlaya gaya hun sukun ki rah par laya gaya hun adam se jaanib-e-gulzar-e-hasti main khud aaya nahin laya gaya hun kadi manzil adam ki hai isi se yahan dam bhar ko thahraya gaya hun haqiqat ka hua hai bol-baala main jab suli pe latkaya gaya hun haqiqat se main afsana bana kar har ek mahfil mein dohraya gaya hun khuda malum un ki anjuman se main khud uttha ki uthwaya gaya hun 'riyaz' apna tha shewa gul-parasti magar kanton mein uljhaya gaya hun