shab tum jo bazm-e-ghair mein aankhen chura gae

shab tum jo bazm-e-ghair mein aankhen chura gae
khoe gae hum aise ki aghyar pa gae

puchha kisi pe marte ho aur dam nikal gaya
hum jaan se inan-ba-inan-e-sada gae

phaili wo bu jo hum mein nihan misl-e-ghuncha thi
jhonke nasim ke ye naya gul khila gae

ai aab-e-ashk aatish-e-unsur hai dekhna
ji hi gaya agar nafas-e-shola-za gae

majlis mein us ne pan diya apne hath se
aghyar sabz-bakht the hum zahr kha gae

uttha na zof se gul-e-dagh-e-junun ka bojh
qarun ki tarah hum bhi zamin mein sama gae

ghairon se ho wo parda-nashin kyun na be-hijab
dam-ha-e-be-asar mere parda utha gae

thi bad-gumani ab unhen kya ishq-e-hur ki
jo aa ke marte dam mujhe surat dikha gae

tabinda o jawan to bakht-e-raqib the
hum tira-roz kyun gham-e-hijran ko bha gae

be-zar zindagani ka jina muhaal tha
wo bhi hamari nash ko thokar laga gae

waiz ke zikr-e-mehr-e-qayamat ko kya kahun
aalam shab-e-visal ke aankhon mein chha gae

jis waqt us dayar se aghyar-e-bul-hawas
bad-khuiyon se yar ke ho kar khafa gae

duniya hi se gaya main junhi naz se kaha
ab bhi guman-e-bad na gae tere ya gae

ai 'momin' aap kab se hue banda-e-butan
bare hamare din mein hazrat bhi aa gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close