nafas nafas iztirab mein tha main halqa-e-sad-itab mein tha sabhi nazare nazar mein gum the ki sara manzar hijab mein tha padha to kuchh bhi na hath aaya likha bahut kuchh kitab mein tha lahu ki aahat pe chaunk uttha wo muddaton jaise khwab mein tha dilon mein raushan nai kahani purana qissa kitab mein tha bas ek hunar tah-ba-tah munawwar bas ek sukhan intikhab mein tha main us ki khushbu mein gum tha 'akhtar' wo mere gham ke hisab mein tha