wo saf ruKH pe jo zulf-e-siyah-fam nahin

wo saf rukh pe jo zulf-e-siyah-fam nahin
pata ye hai ki halab ke qarib sham nahin

tumhaare rukh se kuchh achchha mah-e-tamam nahin
tumhaare qasr se uncha falak ka baam nahin

wo kaam le ke bhi kahte hain tujh se kaam nahin
salam aisi itaat ko main ghulam nahin

kabhi hai dasht-nawardi kabhi hain gulshan mein
gharaz junun mein hamara kahin qayam nahin

wo sham-e-wasl hai ai ham-nashin sahar jis ki
wo subh-e-hijr hai ai dil ki jis ki sham nahin

hui hai ab to unhen lafz lafz se nafrat
jawab-e-khat mein kahin dad sad lam nahin

sharab-khana-e-duniya mein ai bala-nosho
kisi ko saghar-e-mai ki tarah qayam nahin

pila de muft mujhe ai sakhi ke lal sharab
gharib-e-rind hun meri girah mein dam nahin

hazar aib hain hum mein magar wo hai sattar
khuda ka shukr hai badnam apna nam nahin

bas aaj roz ka jhagda mita de ai qatil
adu nahin teri mahfil mein ya ghulam nahin

hazar kabk ko ho naz chaal par apni
magar wo aap ke manind khush-khiram nahin

ye kis ke panw ke chhaale ne kar diya sairab
jo aaj khar-e-bayaban bhi tishna-kaam nahin

sawal-e-wasl par lillah aaj han kah de
dahan se tere nikalta raha mudam nahin

dikha ke abru-e-pur-kham kaha ye zalim ne
kare na chaak kaleja ye wo husam nahin

na subh-e-wasl karo wada sham ka sahab
yahan hai sham-e-sahar aarzu-e-sham nahin

piyala dudh ka galon ke samne hai rakha
wo gal par tere zulf-e-siyah-fam nahin

janab-e-shaikh bhi aa jaen to pilaun unhen
ye mah-e-id hai 'sabir' mah-e-siyam nahin

main un se dad bhi leta nahin hun ai 'sabir'
samajhte mere sukhan ko agar awam nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close