nazar aaen kya mere paikar mein aankhen dabi rah gain gham ke bistar mein aankhen tumhaari nigahon main jhanka hai main ne ki dubi hui hain samundar mein aankhen tumhein dhund lena to mushkil nahin tha agar hotin mere muqaddar mein aankhen ye kya raaz hai tu hi samjha de saqi hain aankhon mein saghar ki saghar mein aankhen hue gharq aise ki paya hai khud ko khuli hain hamari samundar mein aankhen khuda ke liye yaad rakhna wo wada tumhein dhundhti hongi mahshar mein aankhen jalane ke asbab hain donon jaanib tere ghar mein shamen mere ghar mein aankhen kisi but se tum pyar karke to dekho nazar aaengi 'nur' patthar mein aankhen