nasl-dar-nasl mila hai hamein uftad ka dukh

nasl-dar-nasl mila hai hamein uftad ka dukh
mere ajdad ka dukh hai meri aulad ka dukh

main ne jalta hua phir pak watan bhi dekha
main na bhula tha abhi kabul-o-baghdad ka dukh

jaan-ba-haq kitne hue aur hain zakhmi kitne
ek muddat se hai lahaq mujhe aa'dad ka dukh

shahr-e-daud mein sunta hi nahin hai koi
mere wijdan ki chikhen ye mere nad ka dukh

kitne hi log badhe mera mudawa karne
bantne koi na aaya mere ham-zad ka dukh

laut aaya hun qafas mein ba-raza-o-raghbat
mujh se dekha nahin jata mere sayyaad ka dukh

tere hote hue har dukh mein bhi sukh shamil the
ab to shamil hai har ek sukh mein teri yaad ka dukh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close