rah mein yun to marhale hain bahut ham-safar phir bhi aa gae hain bahut ye alag baat hum na dhundh sake warna manzil ke raste hain bahut jin ko manzil na raste ka pata aise rahbar hamein mile hain bahut aao suraj ko chhin kar laen ye andhere to badh gae hain bahut dur ki manzilen hain nazron mein ab ke yaron ke hausle hain bahut ek junun ka jo daur tha mujh par us ke qisse hi ban gae hain bahut baat kya hai ki in dinon hum log sochte kam hain bolte hain bahut