mustaqar ki khwahish mein muntashir se rahte hain be-kanar dariya mein lafz lafz bahte hain sab ulat-palat di hain sarf-o-nahw-e-derina zakhm zakhm jite hain lamha lamha sahte hain yar log kahte hain khwab ka mazar us ko az-rah-e-rawayat hum khwab-gah kahte hain raushni ki kirnen hain ya lahu andhere ka surkh-rang qatre jo rauzanon se bahte hain ye kya bad-mazaqi hai gard jhadte kyun ho is makan-e-khasta mein yar hum bhi rahte hain