phunk do mere aashiyane ko raushni to mile zamane ko hum to bhatke qadam qadam lekin rasta de diya zamane ko log kyun ek dusre se milen sun rahe hain mere fasane ko itne thahraw se na dekh mujhe rukh badalna pade zamane ko maslahat-saz ro bhi lete hain waqt ke sath muskurane ko apni taswir samne rakh kar dekhta hun tere zamane ko log sab ki khushi samajhte hain chand kaliyon ke muskurane ko har taraf hai ab ek sannata aur aawaz do zamane ko khud na tarikh-e-waqt ban 'anjum' apni tarikh de zamane ko