riya-kariyon se musallah ye lashkar mujhe mar denge main bach bhi gaya to nae hamla-awar mujhe mar denge ba-zahir ye ahl-e-mohabbat hain lekin munafiq bahut hain ye ek roz dam-e-mohabbat mein la kar mujhe mar denge main apni hi aawaz apne hi sae se darne laga hun aur ab khauf ye hai ki mere yahi dar mujhe mar denge isi mein aman hai ki main un ke chehre palat kar na dekhun palatne ki surat mein ye kina-parwar mujhe mar denge main hone ko apne hi baatin mein ru-posh ho jaun lekin mere apne ahbab shak ki bina par mujhe mar denge ye kaamil yaqin hai ki jis din bhi apne muqabil mein aaya meri zat mein morcha-band khud-sar mujhe mar denge 'hasan' ab khule aasmanon mein parwaz karna padegi wagarna ye khisht-e-hawas se bane ghar mujhe mar denge