puri hui jo hijr ki miad aawega qaid-e-ana se ho ke wo aazad aawega us but se ji laga na laga kya mujhe wale phir kya karega jab wo tujhe yaad aawega main to karun hun umr bhar ek dasht ka safar kya hoga jab wo qarya-e-abaad aawega aawega ek se ek sukhnawar yahan magar koi bhi 'mir' jaisa na ustad aawega main us ko dekhta hun to aata hai dhyan mein kis kaam us ke ye dil-e-barbaad aawega main jab kaha ki gham se tabiat bahaal hai bola wo roz-e-hashr hi tu shad aawega waqif nahin hain aable sahra ki pyas se aur sochte hain qais pae-dad aawega bazar-e-hast-o-bud mein shishagari meri koh-e-junun bhi sar pe mujhe lad aawega