ye sochte hue bazar se nikal aaya na jaane aadmi kyun ghaar se nikal aaya khabar nahin hai ki phir baadshah pe kya guzri ghazal suna ke main darbar se nikal aaya sabhi khade the khulega abhi dar-e-zindan main jald-bazi mein diwar se nikal aaya khabar ghalat hai main ye baat kahne wala tha ki ek rewolwer akhbar se nikal aaya sukhan ko nara qalam ko alam banate hue sukut-e-hujra-e-fankar se nikal aaya ajab nahin hai ki bazar ko baha le jae jo ashk chashm-e-kharidar se nikal aaya