na aaya kar ke wada wasl ka iqrar tha kya tha kisi ke bas mein tha majbur tha lachaar tha kya tha bura ho bad-gumani ka wo nama ghair ka samjha hamare hath mein to parcha-e-akhbar tha kya tha sada sunte hi goya murdani si chha gai mujh par ye shor-e-sur tha ya wasl ka inkar tha kya tha khuda ka dost hai tamir-e-dil jo shakhs karta ho khalilullah bhi kaba ka ek meamar tha kya tha na aae tum na aao main ne kya kuchh minnaten ki thin tumhin ne khud kiya tha ahd ye iqrar tha kya tha hawa mein jab uda parda to ek bijli si kaundi thi khuda jaane tumhaara partaw-e-rukhsar tha kya tha mila tu hum se mahfil mein jo shab ko ghair kyun bigda tera hakim tha theka-dar tha mukhtar tha kya tha meri mayyat pe matam karte ho allah-re chaalaki khabar hai khud tumhein muddat se main bimar tha kya tha hazaron hasraten betab thin bahar nikalne ko wo sote mein bhi 'parwin' fitna-e-bedar tha kya tha