tuk tu mahmil ka nishan de jald ai surat zara kab talak bhatke phiren ab hum se diwane kharab ye bhi kuchh andher hai ab zulf tere darmiyan ghar base shane ka aur hon dil ke kashane kharab dil to khun ho bah gaya aur hai jigar baqi so ab us ki bhi haalat lagi hum ko nazar aane kharab ghar base to ghar mein kis ke ja basa hai bol uth masjiden viran hain tujh bin aur sanam-khane kharab shama bhadka shoala apna aag de fanus ko kab talak phirte rahen gird us ke parwane kharab chup ho ab to ai 'raza' in khakiyon par rahm kar rone se tere hoe sab shahr-o-virane kharab