tum ne ji bhar ke satane ki qasam khai hai main ne aansu na bahane ki qasam khai hai baghbanon ne ye ehsas hua hai mujh ko aashiyanon ko jalane ki qasam khai hai inqilabaat ke shoale bhi kahin bujhte hain aap ne aag bujhane ki qasam khai hai dar yahi hai ki kahin khud se na dhoka kha jae jis ne dhoke mein na aane ki qasam khai hai tujh pe marta hun tere sar ki qasam khata hun ghair ne aaj thikane ki qasam khai hai saf zahir hai ki ab raaz nahin rah sakta raaz-daron ne chhupane ki qasam khai hai 'shad' sahib ki tarah main ne 'muzaffar'-hanafi tanz par san chadhane ki qasam khai hai