na ab wo dil hai na wo dard-e-dil ke afsane gham-e-jahan ne ye kya kar diya khuda jaane na iztirab na rahat na aarzu na gurez dhuan dhuan hain faqat zindagi ke kashane zamin ki tangi-e-daman se tang-dil ho kar chale hain su-e-falak irtiqa ke diwane musafiron ke lahu se jala jala ke charagh ye kaun utha hai zamane ko rah dikhlane hazar jam-e-fareb-e-nazar piye lekin mujhe sanbhaal liya meri laghzish-e-pa ne shuur-o-fikr ke jalte hue charaghon mein hayat-e-nau ke murattab hue hain afsane hamara dast-e-tasarruf bahaar par hota to aaj khar-ba-daman na hote virane badha gae hain ujalon ki zindagi kitni siyah raat mein jal jal ke aaj parwane gham-e-zamana gham-e-zindagi gham-e-jaanan ye hain 'kalim' mere mai-kade ke paimane