sail-e-waqt hain daman-e-karam dekhenge hum tere dast-e-tasarruf ka bharam dekhenge hadse kitne muqabil hain ye hum dekhenge aur kab tak hai ye tufan mein dam dekhenge sarfaroshan-e-wafa hum to azal se hain magar kitni khun-rez hai ye tegh-e-sitam dekhenge hum ne rahon ko ujale to diye daur-e-khirad kitne raushan hain tere naqsh-e-qadam dekhenge zikr jab apne har ek zakhm-e-wafa ka hoga gul-fishani bhi sar-e-lauh-o-qalam dekhenge zindagi khwab sahi teri tamanna phir bhi umr bhar tere tasawwur ke sanam dekhenge jaane kis mod pe le aaya hamein karb-e-hayat ab na wo zulf na wo zulf ke kham dekhenge pyar hamdardi wafa mehr-o-murawwat akhlaq jo bhi dekhenge ab is daur mein kam dekhenge apne hi khun se chamak utthegi tarikh 'kalim' ahd-e-hazir ke jo mathe pe raqam dekhenge