ye ishq bhi ajib hai ek aan ho gaya insan sari umr ko hairan ho gaya wo shakhs kya gaya hai idhar se ki shahr-e-dil phir dekhte hi dekhte viran ho gaya is gham ne kaisi shakl badal li ki kal talak dushman tha meri jaan ka ab jaan ho gaya wo zulf mere bazu pe bikhri nahin to main us zulf se ziyaada pareshan ho gaya hai saltanat hi meri na lashkar mera magar main bad-nasib jang ka maidan ho gaya main us ko zinda dekh ke khush ho gaya 'shafaq' wo mujh ko zinda dekh ke hairan ho gaya