na angiya na kurti hai jaani tumhaari nahin pas koi nishani tumhaari hui 'rind' to zindagani tumhaari yahi hai agar na-tawani tumhaari ziyaada hui yaad jaani tumhaari gharaz qahr hai mehrbani tumhaari na bhulunga hargiz na bhula hun ab tak inayat karam mehrbani tumhaari shabih aap ki khinch dega ye mana ada kis tarah khinche mani tumhaari tabah-o-kharab ek jahan ko kiya hai khuda ka ghazab hai jawani tumhaari wahi kah raha hun jo farmate ho tum meri guftugu hai zabani tumhaari barabar samajhte ho ghairon ke mujh ko rahe mehrban qadrdani tumhaari dil o dida lapka hai phansne ka tum ko kahan tak karun pasbani tumhaari bas ab shakl dikhlao be-ja hai ghamza bahut sun chuke lan-tarani tumhaari adam ko chala le ke dagh-e-mohabbat dikhaunga sab ko nishani tumhaari kiya imtihan mera sau marakon mein wahi hai magar bad-gumani tumhaari jaga kar dil-e-zar ne hijr ki shab sahar tak kahi hai kahani tumhaari bura gar na mano to sach sach main kah dun tum achchhe buri bad-zabani tumhaari karam kijiye aaiye hazrat-e-ishq hai khun-e-jigar mehmani tumhaari abas be-sabab be-jahat ruthte ho yahi to bari khu hai jaani tumhaari bhala tum hi munsif ho lillah bolo wo kya baat thi jo na mani tumhaari wo piri mein bhi 'rind' dekhe ab aa kar jise yaad howe jawani tumhaari