ye dastak aur ye dar mera nahin hai ab is basti mein ghar mera nahin safar hai aur hi darpesh mujh ko ye musht-e-khak ghar mera nahin hai main kis barud mein bikhri padi hun ye dhad mera hai sar mera nahin hai mujhe mere hawale kar gaya hai to kya hai wo agar mera nahin hai ye kis aangan mein jhukta ja raha hai shajar mera hai ghar mera nahin hai safar hai khwab mein sahra-e-jaan ka magar wo ham-safar mera nahin hai main kyon us ki kahani ban gai hun agar wo harf-gar mera nahin hai ajab si aanch dil tak aa rahi hai ye shorida sharar mera nahin hai shab-e-sajda jabin par jam gaya kya ye dagh-e-ishq gar mera nahin hai urus-e-sham roti phir rahi hai ye aansu chashm-e-tar mera nahin hai jo mere sath chalta ja raha hai wo saya hai magar mera nahin hai 'sahar' ye aur hi duniya hai koi yahan koi bhi dar mera nahin hai