wahi riwayat gazida-danish wahi hikayat kitab wali rahi hain bas zer-e-dars tere kitaben pichhle nisab wali main apne lafzon ko apne fan ke lahu se sarsabz karne wala mera shuur ijtihad wala meri nazar ehtisab wali chalo zara doston se mil len kise khabar is ki phir kab aae ye subh-e-gulgun khayal wali ye mushkbu-sham khwab wali misal mujh gum-shuda nafas ki hai aisi hi jaise koi bachcha purane baste mein rakh ke phir bhul jae copy hisab wali mere liye to tera ilaqa hai shahr-e-mamnua jaisa lekin khandar khandar zindagi ko main ne gali dikha di gulab wali mere ye afkar tere fikr-o-nazar ki tathir hain meri jaan main hikmaten tujh ko de raha hun wahi khuda ki kitab wali 'faza' ki darwesh-e-harf hai dekhna zara us ka bankpan tum qamis khurshid-bakht wali kulah gardun-rikab wali