nigah ot rahun kasa-e-khabar mein rahun main bujhte bujhte bhi pairahan-e-sharar mein rahun main khud hi roz tamanna mein aap sham-e-firaq ajab nahin jo akeli bhare nagar mein rahun sulag uthi to andheron ka rakh liya hai bharam jo raushni hon to kyun chashm-e-nauha-gar mein rahun tamam umr safar mein guzar dun apni tamam umr tamanna-e-rahguzar mein rahun likha gaya mujhe aawaz-e-khamushi ki tarah khud apna aks banun saya-e-hunar mein rahun wo tishnagi thi ki shabnam ko hont tarse hain wo aab hun ki muqayyad guhar guhar mein rahun 'ada' main nikhat-e-gul bhi na thi saba na thi ki mehman si rahun aur apne ghar mein rahun