ranj-o-gham ki jab mere dil mein farawani na thi ji raha tha main magar jine mein aasani na thi mujh ko le pahuncha junun-e-shauq aisi bazm mein jis jagah koi bhi surat jaani-pahchani na thi kis ko fursat thi uthata chand ki jaanib nazar kya hamare dil ke daghon mein darakhshani na thi ek aisa waqt bhi guzra hai mujh par kya kahun jab meri aawaz apnon ne bhi pahchani na thi ye haqiqat thi ki tha mere tasawwur ka kamal dur tere sang-e-dar se meri peshani na thi aisa lagta hai ki koi inqalab aane ko hai warna pahle to nazar kuchh itni diwani na thi