na buton ke na ab khuda ke rahe hum kahin ke na dil laga ke rahe fitne kya kya na wo utha ke rahe hum bhi kuche mein un ke ja ke rahe kar gai wo nigah apna kaam hum bharose pe ittiqa ke rahe nam mera jahan likha paya zid to dekho ki wo mita ke rahe us ne har-chand uzr-e-khwab kiya haal-e-dil hum magar suna ke rahe le uda un ko shauq ghair ke ghar hum tajassus mein naqsh-e-pa ke rahe apni hasti hai is tarah 'raunaq' jaise koi sara mein aa ke rahe