ye hijraton ke tamashe, ye qarz rishton ke main khud ko jodte rahne mein tut jata hun meri ana mujhe har bar rok leti hai bas ek baat hai kahne mein tut jata hun zamin ka karb, lahu, dard, gardish-e-paiham ek izhdiham hai, sahne mein tut jata hun main ek nadi hun meri zat ek samundar hai main apni khak pe bahne mein tut jata hun