tez aandhi the bagula the saba the hum bhi apni auqat se har chand siwa the hum bhi dhal gaya umr ka suraj to ye ehsas hua chaar din ke liye kya jaaniye kya the hum bhi laghzishen hum se bhi kya kya na bahar-gam huin puchhiye hum se to paband-e-wafa the hum bhi aaj thukrae hue sang ki surat hi sahi kal larazte hue honton ki dua the hum bhi gham to ye hai na mile hum ko parakhne wale dahr mein aaina-e-sidq-o-safa the hum bhi ho gae bas ki badalti hui qadron ke shikar apne aslaf ke naqsh-e-kaf-e-pa the hum bhi hum ne chhoda na kahan apna asar ai 'afzal' nala-e-subh the ya aah-e-rasa the hum bhi