na jab dekhi gai meri tadap meri pareshani pakad kar un ko jhonte khinch laya shauq-e-uryani libas ijad kar aisa koi ai aql-e-insani ki tan-poshi ki tan-poshi ho uryani ki uryani maaz-allah wo kafir-ada ka husn-e-pinhani ki ab khatre mein hai har ek musalman ki musalmani bata deti hai badh kar un ke jalwon ki farawani ki ghar se be-hijabana nikal aai hai mughlani maaz-allah janab-e-shaikh ka ye josh-e-imani samajhte hain buton ke hukm ko aayat-e-qurani jise dekho rakhe hai sar pe apne taj-e-sultani hansi thattha samajh rakkha hai har ek ne jahanbani tamannaen meri pamal yun karta hai wo zalim kisi mauza mein jaise khet jote koi dahqani har ek ki khatiren hasb-e-maraatib hongi dozakh mein wo naseh hon ki zahid hon ki mulla hon ki mullani khuda mahfuz rakkhe fitrat-e-insan se aalam mein muaddab ho ke kahta hai jise shaitan bhi ustani sada hirs-o-hawas se dur rahna chahiye hamdam ye donon hain badi fitna jethani hon ki dewrani ba-qadr-e-zauq takmil-e-tamanna 'shauq' kya hoti ki hum ne aurten pain kabhi andhi kabhi kani hain yaksan zahid-e-kam-aql hon ya naseh-e-nadan khilaune sab barabar hain wo chini hon ki japani wo naseh hon ki waiz hon ki qaid hon ki rahbar hon inhin logon se phaili hai jahan mein nasl-e-insani jafaen hum pe hoti hain karam ghairon pe hota hai yahan girte hain ole aur wahan barsate hain pani mujhe barbaad kar ke dost pachhtane se kya hasil chura kare kunad aaqil ki baz aabid pashemani zara hushiyar rahna rahbaro is hirs-e-duniya se na ludhka de tumhein dozakh mein ye shaitan ki nani