nazm-e-mai-khana pe aa jae na ilzam kahin aaj saqi hai kahin rind kahin jam kahin ahl-e-ulfat bhi hua karte hain nakaam kahin un ka aaghaz kahin hota hai anjam kahin apni barbaadi-e-paiham ka nahin mujh ko malal dar ye hai aap pe aa jae na ilzam kahin kash itna to koi ahl-e-hawas se puchhe tum ko duniya mein mayassar bhi hai aaram kahin phir na baqi rahe duniya mein andheron ka wajud aa ke parda jo utha den wo sar-e-baam kahin chand taron mein kahin ki hai tajalli ki talash pattharon se bhi tarashe gae asnam kahin zindagi mein na koi lutf rahega baqi mit gai 'dard' agar gardish-e-ayyam kahin