wah kya hum ko banaya aur bana kar rah gae wasl ka muzhda sunaya aur suna kar rah gae le gaya shauq us ke dar tak phir kami himmat ne ki halqa-e-dar ko hilaya aur hila kar rah gae main ne jo apne dil-e-gum-gashta ki puchhi khabar sar hilaya muskurae muskura kar rah gae ghairat-e-dushman ki khatir meri ghairat lai rang mujh ko mahfil mein bulaya aur bula kar rah gae kaam rone se bhi 'saqi' apna kuchh nikla nahin likkha qismat ka mitaya aur mita kar rah gae