na rasta koi us ka na us ka khwab koi pada na ishq pe aisa kabhi azab koi kisi ka husn tha yun aansuon ke daman mein charagh jalta ho jis tarah zer-e-ab koi zamane-bhar ki ataon mein sirf us ka karam karam bhi aisa ki jis ka nahin jawab koi tamazat-e-gham-e-duniya mein us ko yaad kiya to dasht-e-dil pe barasta raha sahab koi agar fasanon ke pichhe koi haqiqat hai to khwab aur bhi hoga wara-e-khwab koi ye log bol rahe hain magar faza hai khamosh hamare ahd mein aana hai inqalab koi wo jab hujum ke narghe mein aur tanha tha to dekhne ki thi phir us ki aab-o-tab koi ab us ki bazm se aa kar khamosh rahta hai tha bargah mein ek roz baryab koi har ek rah se hat kar guzarte ho 'adil' to is tarah se mila hai kabhi janab koi