na gaya mar ke bhi nazron mein samana apna gor ne mardum-e-dida mujhe jaana apna aise soenge shab-e-hijr ke jage ek roz hoga mahshar mein bhi dushwar jagana apna mil ke dil us se mila hum se na phir wa-e-nasib nikla begana wo hum ne jise jaana apna din kahin raat kahin subh kahin sham kahin ho to batlaen kahin thor-thikana apna tera ehsan na bhulunga kabhu shauq-e-jaga kaam tha tera hi yaad us ko dilana apna