tujh se gile karun tujhe jaanan manaun main ek bar apne-ap mein aaun to aaun main dil se sitam ki be-sar-o-kari hawa ko hai wo gard ud rahi hai ki khud ko ganwaun main wo nam hun ki jis pe nadamat bhi ab nahin wo kaam hain ki apni judai kamaun main kyunkar ho apne khwab ki aankhon mein wapsi kis taur apne dil ke zamanon mein jaun main ek rang si kaman ho khushbu sa ek tir marham si wardat ho aur zakhm khaun main shikwa sa ek daricha ho nashsha sa ek sukut ho sham ek sharab si aur ladkhadaun main phir us gali se apna guzar chahta hai dil ab us gali ko kaun si basti se laun main