na harifana mere samne aa main kya hun tera hi jhonka hun ai tez hawa main kya hun raqs yak qatra-e-khun aap kashish aap junun ai ram-e-raushni-e-harf-o-sada main kya hun ek bikharti hui tartib-e-badan ho tum bhi rakh hote hue manzar ke siwa main kya hun ek tahni ka yahan apna muqaddar kaisa ped ka ped hi girta hai juda main kya hun tu bhi zanjir-ba-zanjir badha hai meri samt sath mere bhi riwayat hai naya main kya hun kaun hai jis ke sabab tujh mein mohabbat jagi mujh mein kya tujh ko nazar aaya bata main kya hun abhi hona hai mujhe aur kahin ja ke tulua dubte mehr ke hamrah bujha main kya hun