ramz-gar bhi gaya ramz-dan bhi gaya husn ke sath husn-e-bayan bhi gaya sar se taron bhari sar-zamin bhi gai panw se khak ka aasman bhi gaya phul hi phul the kunj-e-azar mein tum wahan bhi na the main wahan bhi gaya pahle mitti udi manzilon ki taraf phir use dhundne karwan bhi gaya main akela na tha ku-ruswai mein sath virana-e-jism-o-jaan bhi gaya rang pasti ke phir bhi na ifsha hue yun to patal tak aasman bhi gaya ishq mein baam-o-dar bhi na pichhe rahe sath apne makin ke makan bhi gaya 'tabish' apne basere ki jaanib chalo is se kya tum ko suraj jahan bhi gaya