phir shabab-o-sher ka charcha hua ek jashn-e-zindagi barpa hua karobar-e-zindagi phaila hua umr kam aur waqt hai udta hua ashk-ha-e-gham ki tughyani na puchh jaise dariya josh par aaya hua aatish-e-gham se phata jata hai dil par nazar aata nahin jalta hua jaan kar bhi meri aamad ka sabab puchhte ho kis liye aana hua sar-ba-sajda hain khuda ke samne zulf-e-jaanan mein hai dil atka hua dil mein hangame tamannaon ke hain gham hata un ka ki sannata hua ghaaliban ummid-afza hai jawab hai lifafa itr se mahka hua un ko manzil par pahunchne ka yaqin rahbar jin ka hai khud bhatka hua tang-zarfon ko labaalab jam-e-mai rind ek ek bund ko tarsa hua kar gaya ye kaun khud ko sar-buland kis ka sar hai dar par latka hua jis jagah bhi aap ne rakkha qadam ek naya fitna wahan paida hua zaliman-e-waqt ne dekha nahin khashmagin aankhon mein khun aaya hua ho raha hai nok-e-khanjar se raqam har fasana khun mein duba hua dekh wo hai mard-e-maidan-e-hayat ji raha hai maut se ladta hua