nazar mein husn ka tufan sama nahin sakta main apne khwab se daman chhuda nahin sakta nigar raqs mein hai aur bahaar zoron par magar gharib ka dil muskura nahin sakta mujhe hai apne muqaddar pe itni hi qudrat bigad sakta hun is ko bana nahin sakta bahut aziz hai mujh ko mataa-e-ijz-o-khulus nahin nahin main ye daulat luta nahin sakta khulus ahl-e-riya se na barta jaega ba-ijz sab se to main pesh aa nahin sakta