na muddai na koi muddaa lage hai mujhe ajib rang ki dil mein faza lage hai mujhe bura na mano to tum se main ek baat kahun ye guftugu ka tariqa bura lage hai mujhe hazar jurm pe bhi hai mera karam-farma main kya bataun ki wo shokh kya lage hai mujhe wo khub-ru bhi hai dilbar bhi aur dil-ara bhi magar wo shokh kuchh is se siwa lage hai mujhe main chhedta hun use aur wo kosne de hai magar ye kosna jaise dua lage hai mujhe jo pas aan ke baithe chaman sa khil jae chale to jumbish-e-baad-e-saba lage hai mujhe khiram-e-baad-e-saba lakh gul-nishan ho jae kisi ki chaal ki jhuti ada lage hai mujhe ye lala-o-gul-o-nargis ye abr-o-baad-e-chaman kisi ke jism ki utri qaba lage hai mujhe tamam aasre bekar-e-mahz hain 'naqwi' usi ka aasra bas aasra lage hai mujhe