samajhte hain jo apne bap ki jagir mitti ko banaunga main un ke panw ki zanjir mitti ko hawa sath-e-zamin par ab khat-e-gulzar khinchegi ki khush aati nahin hai abr ki tahrir mitti ko siyah pad jaegi zarron ki rangat ek hi pal mein agar qismat se mil jae meri taqdir mitti ko jalali aaina ek aasman par mehr-e-taban hai banaya hai zamin par sabr ki taswir mitti ko bajae khak udte hain sitare meri aankhon mein ki ho jati hai aise kaam mein takhir mitti ko use mismar karne mein koi mushkil nahin hogi pasand aai hai shahr-e-khwab ki tamir mitti ko bahut raunda gaya hai khak ko aur khak-zadon ko ata ki jaegi ab ghaib se tauqir mitti ko kamal apna dikhaega tilismi aaina 'sajid' ki ab darkar hai ek khwab ki tabir mitti ko