pareshan bhi karegi gul khila ke tamashe dekhte rahna hawa ke yahin jannat yahin goya jahannam tu hi ab soch ai bande khuda ke bulate wo agar to kya na jate girafta yun bhi kab the hum ana ke gulon par kanpte shabnam ke qatre larazte harf honton par dua ke hawas ki aag ne jhulsa diya hai hamein chalna tha kuchh daman bacha ke hai kis ke lams ki khushbu gulon mein dhanak mein rang hain kis ki ada ke thaharte hain zara palkon pe aansu sitare tutte hain jhilmila ke koi parde ke pichhe bolta tha magar hum khush hue the lab hila ke hamari jaan par ban aai lekin kahan hai mutmain wo aazma ke kabhi khul kar miyan-'faruq' hans do ye kya rah jate ho tum muskura ke