thoda hai jis qadar main padhun khat habib ka dekha hai aaj aankhon se likkha nasib ka hum mai-kashon ne nashshe mein aise kiye sawal dam band kar diya sar-e-mimbar-khatib ka sayyaad ghat mein hai kahin baghban kahin sara chaman hai dushman-e-jaan andalib ka apni zaban se mujhe jo chahe kah len aap badh badh ke bolna nahin achchha raqib ka aankhen safed ho gain jab intizar mein us waqt nama-bar ne diya khat habib ka qismat dubone lai hai dariya-e-ishq mein ai khizr par kijiye beda gharib ka wo be-khata hain un se shikayat hi kis liye 'jauhar' ye sab qusur hai apne nasib ka