nai bazm-e-aish-o-nashat mein ye maraz suna hai ki aam hai kisi lomdi ko malaria kisi meindki ko zukaam hai ye ajib saqi-e-mah-wash tere mai-kade ka nizam hai hua jaise tu bhi diwaliya na to khum na mai hai na jam hai yahan zikr-e-ab-o-taam kya yahan khana pina haram hai yahan bart rakhte hain roz sab yahan roz mah-e-siyam hai na to muttafiq kisi amr mein na to muttahid kisi kaam mein mere leaderon ka dimagh hai ki himaqaton ka godam hai abhi hai gharibon ki chashm tar abhi un ke haal pe ek nazar abe inqalab thahar zara abhi tujh se aur bhi kaam hai main suna chuka hun hazar bar unhen dard-o-yas ki dastan na yaqin ho to wo puchh len ki gawah telegram hai abhi us ko jism to dhakne do abhi us ko pet to bharne do abhi us ko fikr-e-awam kya abhi nanga bhuka nizam hai wahi khadimana rawish rahe ye khayal-e-rahbari chhod do ise pi sakoge na dost tum ye bahut hi gadha qawam hai tujhe apne aur parae ka nahin kuchh shuur abhi talak mere jaan-nisaron ki list mein zara dekh tera bhi nam hai bhala 'shauq' un se dabenge kya bhala 'shauq' un se darenge kya bhala 'shauq' dar se uthenge kya ye khayal dost ka kham hai