na puchh ai ham-nashin hum kis liye lachaar baithe hain mataa-e-jaan-o-iman kho chuke hain haar baithe hain kisi ke gham mein jaan-e-zar se bezar baithe hain utha hai dard sa pahlu mein hum lachaar baithe hain khabar bhi hai tumhein uftadgan-e-ku-e-ulfat ki hazaron chahne wale pas-e-diwar baithe hain masiha safh-e-hasti pe junun ko dagh samjha hai wo tere chahne wale tere bimar baithe hain nigah-e-mast se apni kaho tayyar ho jae ki diwane tumhaare aaj phir hushiyar baithe hain saza kya bargah-e-naz se milti hai dekhenge gunah-garan-e-ulfat der se tayyar baithe hain nigah-e-lutf-e-saqi dekhiye uthti hai kis kis par dar-e-mai-khana par ab sainkadon mai-khwar baithe hain hua 'nami' jo dil rukhsat to ummid-e-wafa kis se zamane mein bhala aise kahin gham-khwar baithe hain