nigah-e-arzu-amoz ka charcha na ho jae

nigah-e-arzu-amoz ka charcha na ho jae
shararat sadgi hi mein kahin ruswa na ho jae

unhen ehsas-e-tamkin ho kahin aisa na ho jae
jo hona ho abhi ai jurat-e-rindana ho jae

ba-zahir sadgi se muskura kar dekhne walo
koi kam-bakht na-waqif agar diwana ho jae

bahut hi khub shai hai ikhtiyari shan-e-khuddari
agar mashuq bhi kuchh aur be-parwa na ho jae

irade bandhta hun sochta hun tod deta hun
kahin aisa na ho jae kahin aisa na ho jae

ilahi dil-nawazi phir karen wo mai-farosh aankhen
ilahi ittihad-e-shisha-o-paimana ho jae

meri ulfat tajjub ho gai tauba maaz-allah
ki munh se bhi na nikle baat aur afsana ho jae

ye tanhai ka aalam chand taron ki ye khamoshi
'hafiz' ab lutf hai ek nara-e-mastana ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close