shyam gokul na jaana ki radha ka ji ab na bansi ki tanon pe lahraega kis ko fursat gham-e-zindagi se yahan kaun be-waqt ke rag sun paega us gali se chali dard ki rau magar shahr mein ahl-e-dil hain na ahl-e-nazar jaane kis sar se guzregi ye mauj-e-khun jaane kis ghar ye sailab-e-gham jaega zulmat-e-gham se itne hirasan na ho kaun mushkil hai yaro jo aasan na ho ye garan-khwab lamhe bhi kat jaenge raat dhal jaegi din nikal aaega har nafas har qadam har nae mod par waqt ek zakhm-e-nau de raha hai magar waqt khud apne zakhmon ka marham bhi hai waqt ke sath har zakhm bhar jaega kis lagan kis tamanna se kis chaw se mausam-e-rang-o-nikhat ko di thi sada kya khabar thi ki abr-e-bahaar-afrin aag ke phul gulshan pe barsaega tere gham ke charaghon ki sad-rang zau ek kiran de sakegi na ehsas ko bazm-e-jaan itni sunsan ho jaegi shahr-e-dil itna viran ho jaega