na khincho aashiq-tishna-jigar ke tir pahlu se nikale par hai misl-e-mahi-e-taswir pahlu se na le ai nawak-afgan dil ko mere chir pahlu se ki wo to ja chuka sath aah ke jun tir pahlu se dil-e-sipara ko le tank tawizon mein haikal ke na sarka ye hamail ai but-e-be-pir pahlu se wo hon be-dast-o-pa bismil rasai jab na hath aai kiya ta pa-e-qatil az tah-e-shamshir pahlu se asir-e-zulf diwane hain dekh ai pasban shab ko daba kar baith un ke panw ki zanjir pahlu se musawwir laila o majnun ki nakaami pe hairan hain kabhi baitha na mil kar pahlu-e-taswir pahlu se ye dil lab-tishna tegh-e-yar ka hai raat bhar karta sada-e-al-atish jun nala-e-shab-gir pahlu se ajab hasrat ka aalam tha ki majnun kahta tha paiham chhute pahlu mere mahmil ka ya taqdir pahlu se na kahna ustukhwan un ko ye aalam laghari ka hai ki hai dikhla raha mera dil-e-dil-gir pahlu se khayal-e-abru-e-jaanan nahin ab bhulta ek dam sipahi hai juda karta nahin shamshir pahlu se tamam ahl-e-sukhan bazm-e-sukhan mein 'zauq' hairan hain mila jo qafiya tu ne kiya tahrir pahlu se