tirgi hai sahn mein tabindagi diwar par aaine jadti rahi hai zindagi diwar par sab jalal-e-mansabi sail-e-fana le jaega lakh hum likhte rahen paindagi diwar par zulmaten umdin kuchh aise kha gain harfon ka nur khun-e-dil se ki thi kuchh rakhshandagi diwar par baam-o-dar ko dekhti rahti hain meri hasraten kaun chaspan kar gaya sharmindagi diwar par do ghadi sae mein wo thahra tha lekin aaj tak hai ajab ek aalam-e-raqsandagi diwar par umr bhar hum ne kiye hain jama murda-tajribe aur samajhte hain ki likh di zindagi diwar par