zalzale sab dil ke andar ho gae hadse ruman-parwar ho gae kashtiyon ki qimaten badhne lagin jitne sahra the samundar ho gae dhup mein pahle pighal jate the log ab ke kya guzri ki patthar ho gae wo nigahen kya phirin hum se ki hum apni hi aankhon mein kam-tar ho gae tum ki har dil mein tumhaara ghar hua hum ki apne ghar mein be-ghar ho gae