na KHushi achchhi hai ai dil na malal achchha hai

na khushi achchhi hai ai dil na malal achchha hai
yar jis haal mein rakkhe wahi haal achchha hai

dil-e-betab ko pahlu mein machalte kya der
sun le itna kisi kafir ka jamal achchha hai

baat ulti wo samajhte hain jo kuchh kahta hun
ab ke puchha to ye kah dunga ki haal achchha hai

sohbat aaine se bachpan mein khuda khair kare
wo abhi se kahin samjhen na jamal achchha hai

mushtari dil ka ye kah kah ke banaya un ko
chiz anokhi hai nai jins hai mal achchha hai

chashm o dil jis ke hon mushtaq wo surat achchhi
jis ki tarif ho ghar ghar wo jamal achchha hai

yar tak roz pahunchti hai burai meri
rashk hota hai ki mujh se mera haal achchha hai

apni aankhen nazar aati hain jo achchhi un ko
jaante hain mere bimar ka haal achchha hai

baaton baaton mein laga lae hasinon ko 'jalil'
tum ko bhi sehr-bayani mein kamal achchha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close